Wednesday, August 5, 2020

How To Become Ips Officer | Syllabus For Ips | Ips Officer Salary | Ips Officer Kaise Bane | Salary

Is Globepay safe | is GlobePay legal in India | globepay customer service

Hi Dosto 

Jaisa ki aap jante ho ki mera youtube channel hai. Maine globepay related vidoe bhi upload kiya hai. Kuch logo ne comment karke poocha hai ki maine globepay me money add kiya hai lekin lambe time ke baad bhi money add nahi hua hai. Aise bahut saare log comment karke pooch rahe hai. Aise me samajh nahi aa raha hai ki ki jab log money add karte hai globepay me to money add kyu nahi ho raha hai. Aaj to ek person ne comment kiya hai globepay ke bare me aur bata raha hai ki mere sath fraud hua hai. Ek person hai globepay me jo money add karwa leta hai lekin globlepay account me money show nahi karta hai. Usne person ka mobile number bhi provide kiya hai lekin main yaha aapko nahi de sakta hu.

ab to main bhi hairaan hu ki globepay ko use karna safe hai ya nahi. Quora me bhi globle pay ke bare me bahut kuch read karne ko mujhe mila hai jo kuch accha jankari globepay ke bare me nahi deta hai. Globlepay me money add karne se pehle aapko ek baar sochna jarur chahiye ki logo ke paise aakhir add karne ke baad show kyu nahi ho rahe hai. Kya globepay india me legal hai ya nahi. Bahut saare question hai logo ke man me jiska jawab globepay administration ko dena chahiye taaki unko problem solve ho sake.

Niche maine globepay related video ka link diya hai.watch kijiye.

How To Delete Whatsapp Chat Permanently | Can Whatsapp Messages Be Traced After Deleted | Sapp Delete Chat Other Person

Hi dosto

aap bahut hi easily whatsapp chat message ko permanently delete kar sakte hai aur whatsapp chat message dobara restore nahi ho paayega. Whatsapp me time to time backup file phone ke internal storage me aur Google drive me save hote rehta hai.  Aapko google drive se aur phone ke internal storage se backup file ko delete kar dena hai aur uske baad koi bhi person whatsapp chat ko recover nahi kar paayega. Agar Google drive me backup karne ke liye aapne whatsapp me enable kiya hua hai tabhi google drive me bhi backup file save hoga otherwise nahi hoga. Niche main whatsapp related video ka link de raha hu.watch kijiye.